Self study kaise kre tips in hindi [shubhkamnayestatus]
Self study ke liye jaruri h.
- Apna kud ka time table
- Continuity (regularly schedule)
- Padai m ruchi
- Study ke anukul vatavarn
- Exam ke anusar taiyari kre
- Daily target
Time table bnane ke bad aap ko continuity rakhni hogi yani aap ko daily padai karni chahiye jaise 5 ,6,7,8 gante jitne bhi padte ho utne daily padne hone chahiye
Padai m ruchi bnaye yani jo bhi subject aap padte ho usme aap ka lagav hona chahiye man ke istar rakh kar padai karni chahiye
Har din ka ek target hona chahiye ki is din yeh padna h vo pura padna chahiye yani yeh topic padna h vo pura complete karna chahiye
Study karte waqt ek sant vatavarn hona chahiye jais se aap ko dustpans na ho
Study hemesa table kursi par bait ke karni chahiye is se aap ka pura dhyan study pr hoga
Study m 1 gante ka rutin bna le jis ke bad aap pani paisab kar le ya apna koi or work kr le jaise kisi se bat karni h ya kisi ko msj karna h
Study Ke Liye Notes Banaye
Books se padhte samay apne pass ek pen copy rakhe aur notes banaye. Ya fir aap heighlighter ki help se book par lines ko heightlight kar sakte hai.
Notes mein topic ko detail me likhne ki bajay uske important points likhe. Isse next time wahi topic padhne ke liye aapko books se detail mein nahi padhna hoga, notes padhte hi aapko sab yaad aa jayega ki is topic ki kya details hai.
Exams ke time quick study mein ye notes aapko jaldi revision karne mein bhi help karenge.
Ratta Marne se Bache
Agar aap kisi cheej ko yaad karne ke liye ratta marenge to aap kuch samay baad use bhul jayenge aur fir agli baar use padhne ka man bhi nahi karega.
Ratta marne ki bajay aap us topic ke basic clear kare. Agar aap ko kisi topic ki basic knowledge hai to aap us topic par bina padhe aur yaad kiye bhi bahut kuch likh sakte ho.
Agar aap janana chahte hai ki class mein top kaise kare to apne topper student se bhi jaruri tips le aur jane unka yaad karne ka tarika kya hai
Technology Ka Sahara Le
Aap apni padhayi ke tarike ko aur behtar bnane ke liye computer aur mobile ka sahara bhi le sakte hai.
Internet par apne subject se related topic search kare aur use detail mein padhe. Aap videos dekh kar bhi sikh sakte hai.
Mobile mein aapko har tarike ki application mil jayegi. Apne subject se related application search kare aur use study kare.
Dhyan rahe study ke time aap sirf syudy hi kare kahi aesa na ho laptop par aap facebook ya koi aur website khol kar baith gaye ya mobile par wassup chat karne lage. In sab cheejo ko aap padhayi ke baad bhi kar sakte ho.
Study ke time hemesa pen ya pencil v copi sath m honi chahiye or jinta aap ne pada uske headline bna le uske anusar punh rivage kr le
Is anusar padai karoge to aap jarur safal honge
Comments
Post a Comment